Summer 2025 Me Viral Fevers – Kaise Rakhein Apna Dhyan Aur Bachaayein Apne Aap Ko?

Summer 2025 shuru hote hi viral fevers ka spifke dekhne ko mil raha hai. Metro cities se lekar chhoti towns tak, hospitals me fever, sore throat, aur weakness ke cases badhte ja rahe hain. Doctors warning de rahe hain ki ye wave simple seasonal viral se zyada serious ho sakti hai agar precaution na liya jaye.

🔴 Summer 2025 Viral Fever: Common Symptoms Jo Ignore Na Karein:

  • High fever (101°F se upar)
  • Throat pain ya dry cough
  • Body ache or fatigue
  • Occasional vomiting, ya loose motion
  • Mild rashes (kuch cases me)

Agar ye symptoms 2 din se zyada rahe, turant doctor se milna zaroori hai.

🛡️ Kaise Bachaayein Apne Aap Ko?

Hydration sabse zaroori – Roz 8-10 glass paani piyen

Crowded jagah se bachna – Malls, metros me mask use karein

Home-cooked light food khayein – Bahar ka oily food avoid karein

Hands wash karna routine banayein – Har 2–3 ghante me

Immunity boost karein – Vitamin C (lemon, amla, orange) aur probiotics lein

viral fever

Read More:- Health Benefits of Pumpkin Seeds

👨‍⚕️ Doctors Ka Kya Kehna Hai?

AIIMS Delhi ke ek expert kehte hain:

“Is baar ka viral Fever zyada logon ko impact kar raha hai kyunki temperature variation high hai. Precaution lena aur self-medication avoid karna zaroori hai.”

📊 Government Alert & Helpline

Health Ministry ne kuch areas me advisories bhi jari ki hai.

Toll-free helpline: 1075

Leave a Comment